SAB SAY OWLA-O-AL’A HAMARA NABI(salalahu alaihi wasalam)
Sab say owla-o-a’la hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
Sab say baala-o-waala hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
Apnay mowla ka pyaara hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
Dono a’alam kaa dulha hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
Jis ko Shaayaa hay arsh-e-Khuda par juloos Hay woh sultaanay waala hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
Bujh gayee jis kay aagay sabhi mish’alai Shama’ woh lay kar ayaa hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
jis kay thalwo ka dhowan hay aab-e-hayaa Hay woh jaan-e-maseeha hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
Halq say awliya awliya say rusul Or Rusool-o say al’a hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
Jis kee do boond hain Kauser-o-Salsabeel! Hay woh Rehmat ka darya hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
Jaisay sab ka Khuda aik hay waisay hee In ka un ka thumhara hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
Qarno badlee Rasool-o kee howthee rahee Chaand badlee ka nikla hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
Kown daytha hay daynay ko moo chahiyay Daynay waala hay sacha hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
Kya khabar kithnay thaaray khillay chup ga’ay Par na doobay na dooba hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
Mulk-e-konain main Ambiya taajdaar Taajdaar-o ka Aka hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
Saaray acho main acha samjiyay jissay Hay us achay say acha hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
Saaray uncho main uncha samjiyay jissay Hay us unchay say uncha hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
Ambiya say karoo arz kyoun maliko! Kya Nabi hay thumhara hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
Jis nay tukray kiyay hain qamar kay woh hay Noor-o-hidat ka tukra hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)
Ghamzado ko RAZA mushda dee-jeeyay kih hay Baykassow ka sahaara hamara Nabi (salalahu alaihi wasalam)